Jio Company ne hal hi me Jio Gigafiber launch kiya hai.Jo filhal abhi market me nahi aayi hai par Jio gigafiber ke liye log registration karna shuru kar diye hai.Lekin bahut logo ko pata nahi hai ki akhir Jio gigafiber kya hai? Jio gigafiber plans kya-kya hai? Jio gigafiber kabtak market me aayega. Esliye mai en sab ke bare me es 'Jio gigafiber kya hai' wala article me batane wala hu.
Namskar dosto,Aap sabhi ka bahut-bahut swagat hai hamare Adviceduniya blog par. Aur aaj hum bat karne wale hai Jio gigafiber ke bare me ki Jio gigafiber kya hai? Jio gigafiber ka plans kya hai?
Jio comapany ne logo ke liye kafi achhe-achhe naye service ko market me logo ke liye la raha hai.Pahle Jio ka Sim jo ki logo par abhi tak Raj kar raha hai.Uske bad Jio Phone.Jo ki sabse kam price me kafi affordable phone tha.Jo logo ko kafi pasand aaya tha.
Aur usi tarah abhi filhal Jio company ne market me apna ek aur brand lekar aagaya hai.Jo ki Jio gigafiber ke name se mashoor hai.
Halhi me Mukesh Ambani ne ek Conference hall me yah kahe hai ki Jald hi Market me yah Jio gigafiber uplabdh kara di jayegi. Aur log Es Jio gigafiber ka istemal jald hi kar sakenge aur yah kafi majedar shabit hone wala hai.
Jio Gigafiber kya hai? Jio Gigafiber in Hindi
Jio gigafiber ek Brodband hai. Jo ki High-speed se Apne network ko Pass karke users ko high-speed Connection Pahuchati hai. Pahle humlogo ko Kisi Tower ya kisi wire ki madad se hume Internet connection mil raha tha.
Jo ki Kisi kisi wajah se kabhi kabhi Uska connection loss ho jata tha. kabhi-kabhi Strom aagaya,ya kabhi Varish ka season aa gaya to aise me Tower aur wire wala connection kabhi kabhi loss ho jati thi.
Lekin Hal hi me Jio ki comoany ke head Mukesh Ambani ne yah elan kar diya hai ki Jio gigafiber ab har kisi ke ghar me delivered kiya jayega.
Esse hum logo ko yah fayda hoga ki hume Ab kisi Tower ya Wire se internet connection lene ki zroorat nahi paregi.
Jio gigafiber ke dwara hunlog bina wire ke hi Internet chala sakte hai.Aur esme Data Connection loss hone ke chances bahut hi kam honge. Bole to na ke barabar.
Jio gigafiber kaise kam karega?
Yah Jio gigafiber FTTH par kam karega yani ki Fiber To The Home par eska matlab yah hai ki aapko Jio gigafiber ki suvidha aapko apke ghar tak jayegi.
Esme aapko ek wire ki taur par ek Connection diya jayega. Jo ki kafi High Speed Connection ke sath hoga. Aur aap pahle se jyada high level Online Gaming kar sakenge.
Eski service ek fix line brodband ki tarah hogi jo 100mbps tak ki high speed dega.Esse aap 4K video,Smart hone aur Online game jaisi suvidha ko fast internet ke sath luft utha sakte hai. Esme aapko koe rukabat nahi hogi. Jio gigafiber ke jariye aapko Internet ki maximum speed 1gbps tak ka milega.
Jio gigafiber ka Istemal karne ke fayde:-
●Minimum 1gbps Speed
jio gigafiber ki maximum speed 1gbps ke hisab se hoga.Matlab ki aap esse Live stream Video chala sakte hai. Aap koe bhi high programming Online game khel sakte hai. Bluray aur 4K jaise video ko online apne mobile ya Television par dekh sakte hai.
●Easy to Control/Use
Jab hum kisi Tower ya Wire se Connection lete hai to usko setup karne me thora bahut problem hota hai.Par esme aap asani se sabhi chizo ki set kar sakte hai. Aur Wire ka jhanjhat khatm ho jayega.
●Use in Manything
Jio gigafiber ek setup box ki tarah aayega. Jo ki hum abhi filhal apne ghar me Dish ke machine ko dekhte hai thik usi prkar, Esse aap apne Television me kisi ko bhi Video call kar sakte hai,Youtube chala sakte hai, Eski madad se aap television me online game tak ko khel sakte hai.Bina kisi ki rukavat ke.
Jio gigafiber ka plans kya hai?
Ab etna sara features esme janne ke bad aapko eske plans janne ka echchha bahut ho raha hoga. Filhal Jio comoany ke head yani Mukesh Ambani ne abhi tak etna bataya hai ki eska minimum Plans 700 rupya se shuru hoga aur eska maximum plans ki price 10000 rupya tak hoga..
Lekin filhal abhi tak ye totally decide hokar market me news nahi aaya hai ki es Jio gigafiber ka plans kya hoga.To jis din Eska Plans market me launch hoga.Mai Adviceduniya ki madad se aapko zroor bata dunga.
Jio gigafiber market me kab tak aayega?
Ab logo ko Jio gigafiber lene ke bare me abhi se hi sochna shuru kar diye honge. Aur aap sab ki bechaini khatm ho jayegi kyuki Jio company ke head Mukesh Ambani ne bataya hai ki Jio gigafiber puri tarah se logo ko Service dene ke liye ban chuka hai.
Aur yah Hamare desh me 5 september 2019 ko market me utar diya jayega. Matlab us din se log Jio gigafiber ka luft maja utha sakenge. Jio gigafiber lagbhag Bharat 1,100 shahro me uplabdh karaya jayega.
Yah Chote-bare gharo se lekar Karayalay aur comaonya tak uplabdh karaya jayega. Eske liye abhi se hi registration hona shuru ho gaya hai.Aap bhi unke official website par jakar Jio gigafiber ke liye appna registration kra sakte hai.
Jio gigafiber kya hai? By Video
Conclusion
To dosto,Mujhe ummid hai ab aap Jio gigafiber ke bare me sabhi jankari aapko mil gaya hoga. Agar aapko jio gigafiber ke bare me kuch aur jankari chahiye to niche comment karke hume zroor bataye.
Aur agar aapko yah article " Jio gigafiber Kya hai?" Achha laga ho to apne dosto aur ristedsro ke pas Whatsapp aur facebook aise socialemdia par share karna bilkul bhi na bhule.taki ve log bhi Jio gigafiber ke bare me jan sake es article " Jio gigafiber Kya hai? Aur uske plans" ko padhkar.