Youtube channel verify Kaise Kare? how to verify youtube channel in Hindi-Youtube par log channel to bana lete hai par use verify karna nahi aata. esliye aaj ke article me hum janege ki Youtube channel verify kaise kare?.
Namskar dosto,aap sabhi ka ek bar fir adviceduniya par swagat hai.aaj ham janenge apne youtube channel ko verify kaise kare.Eske pichle article me humne sikha ki Youtube par channel kaise banate hai.
Aur aaj ham es article ke madhyam se janenge ki youtube channel ko mobile number se verified kaise kare? vo bhi bilkul asan sabdo me. youtube channel ko verify karne ke bare me janne se pahle hum aapko uske fayde bata dete hai.
Apna Youtube channel verify kaise kare?
Aapne youtube channel ko verify karne ke liye aap apna vahi mobilr number use kare jo pahle kisi bhi youtube channel se verify kiya gaya nahi ho.
anytha aap apne channel ko verify nahi kar payenge.aapne youtube channel ko verify karne ka tarika janne ke liye niche diye gaue steps ko follow kare. tab aap asani se jan jayenge ki youtube channel ko verify kaise karte hai.
Youtube se Related Ye Post Bhi zroor Padhe-
- मोबाइल से Youtube पर Video Upload कैसे करे? Full Guide
- Youtube Video Par thumbnail Kaise Lagaye? Sirf 1 Minute me
- Youtube Par Photo Kaise Upload Kare? 1 Second me
- 2023 में Free Youtube Channel promote कैसे करे? 15 बेहतरीन तरीका।
Youtube Channel verify karne ka tarika:-
Now follows These Steps:-
1. Sabse pahle apne chrome browser me jake youtube.com ki official website par enter kare
2. Agar aapne apne youtube application me gmail login kiye hai tab thik hai nahi to chrome browser me apne gmail id se login ho jaye.
[Note:- Vahi gmail se login hoye jisse apka youtube channel hai]
3. Ab apne youtube ke profile open kare vaha apko setting najar aayega uspe click kare.
4. Ab aapko your account dikhega aur uske niche 2 aur option dikhega to View additional features par click kare.
5. Ab channel ke icon ke aage verify ka button dikhega uspe click kare
6. Verify par click karne ke bad aapko samne ek new windows open hoga usme kuch es prakar sabhi chiz fill kare.
- aap jis country se hai vo country select kare)
- Text me the verification code ko select kare(aap uske upar wala bhi select kar sakte hai lekin usme call ke through OTP ayega)
- Ab apna mobile number enter kare
- aur finally Submit par click kar de
7. Submit par click Karne ke bad aapke Mobile number par Ek 6 digit ka OTP aayega us OTP ko box me fill karke submit par click kar de.
Aab aapka youtube channel puri tarike se verify ho chuka hai.aab aap jo chahe apne channel par jo chahe kar sakte hai.
Youtube channel verify karne ka fayda-
jaise ki man lijiye kisi bhi tyres ke bina car nahi chal sakta vaise hi channel ko verify kiye bina uspe visitors aana muskil hai.maine ye kyu kah raha hu niche aapko pata chal jayega .
Dosto,youtube channel ko verify karne ke bahut sare fayde hai.jaise ki-
1. aap bina channel verify kiye apne video par thumbnail nahi laga sakte hai.
Youtube me koe bhi video viral hoti hai ya rank karta hai ya uspe jyada visitors aate hai to vo sirf or sirf Thumbnail dekhkar hi hota hai. agar aapka video ka thumbnail attractive or awesome hoga to views to lakho me aayenge.
aur agar aapka thumbnail achha nahi hoga to video kitna bhi achha kyu na ho log use jaldi open nahi karenge.kyuki users attractive thumbnail ke upar hi jyada visits karte hai.aur bina channel verify kiye aap thumbnail nahi laga sakte hai]
2. Aap koe bhi video ka length 15 minute se upar ka nahi rakh sakte hai.
agar aapka video ka length 15 minute se jyada hai tab aap bina channel ko verify kiye aap vo video ko apne channel par upload nahi kar sakte hai
Conclusion
agar aapko es article me bataye gaye steps ko follow karne me problem face ho rha ho to nichhe comment kare.
aur aagar aapko ye article youtube channel ko verify kaise kare? how to verify youtube channel in hindi pasand aaya ho to apne dosto ke sath ese share zroor kare taki aapke dost bhi youtube channel verify karna sikha jayenge.