Youtueb Video par Thumbnail kaise lagaye? Video ke liye Best Thumbnail kaise banaye? Bahut se logo Youtube Channel to bana lete hai.Aur sath hi Youtube Video bhi apne channel par upload karne ke liye bana lete hai. Lekin Bahut se logo ko ye pata nahi hota hai ki Us Youtube video ke upar Thumbnail kaise lagate hai.
Kyuki Bina thumbnail ke Video par jyada Views nahi aayenge. Esliye mai aapko yaha bataunga ki Youtube Video par Thumbnail kaise lagaye? Sath hi Best Thumbnail banane ka kuch Idea bhi aapko btaunga.
To namaskar dosto,Aap sabhi ka bahut-bahut swagat hai hamare Adviceduniya blog par. Aaj ke es post me hum aapko kuch khas batayenge.
Agar aap ek Youtuber hai. Ya fir aap Youtuber banna chahte hai. To ye article aapke liye bahut hi important hai. Aaj mai aapko bataunga ki kaise aap Youtuber Video par Thumbnail laga sakte hai.
Hum sabhi jante hai ki Bina thumbnail ke koe bhi youtuber video par jyada Views nahi aayenge. Aur jab Jyada Views nahi aayenge to aapka Channel popular nahi ho payega.
Jisse aap Earning nahi kar payenge. Aur Jiske Video par achha Thumbnail hota hai. Eye Catching Thumbnail hota hai Unka Video par Jyada Views aane ke chances hote hai.
Aur unka Video jaldi-jaldi Viral hota hai. Esliye aapko bhi Youtube Video ke liye Thumbnail banana aue Video par thumbnail lagana Sikhna hi parega.
Youtube Video Par Thumbnail Kaise Lagaye? Asani se
Youtube Video par thumbnail lagana bahut hi asan bat hai. Lekin agar aap naye-naye pahli bar youtube Video par thumbnail lagayenge to aapko thora sa hard lagega.
Lekin Es article me bataye gaye steps ke madhyam se puri Details me bata dunga ki kaise aap Asani se Thumbnail laga sakte hai.
Jisse aapko Pahli bar me hi Asani lage. Youtube Video par thumbnail lagane se pahle ye dhyan rakhe ki aapka Thumbnail Ka quality achha ho.
Ye bhi Zroor padhe:-
★ Youtube se Video downlaod kaise kare?
★ Youtube se koe bhi Song Mp3 me download kaise kare?
★ Youtube par Video upload kaise kare?
★ Youtube Channel Khud se Promote kaise kare?
★ Youtube Video par Thumbnail kaise lagaye?
Kyuki Jabtak achha Quality nahi hoga tabtak Users aapka video ka Ignor karte rahenge. Aur Thumbnail ka Size bhi Kam rakhne ka Koshish kare. Agar aapko Video Size kam karna sikhna hai to ye padhe.
★ Video Ka Size kam kaise kare? Bina Quality kam kiye.
Youtube Video me Thumbnail lagane ka Tarika-
Youtube Video par thumbnail lagane ke tarike ko mai niche aapko Steps by Steps bataya hu. Usme aapko Har Steps Follow Karna parega.
Kyuki Agar aap ek bhi Steps Ko Chhorenge to aap Youtube ke kisi aur Setting me pahuch jayenge.Aur aap Thumbnail laga nahi payenge.
Ek aur Bat ka Dhyan rakhe ki Jab bhi Youtube video par Thumbnail lagane ke liye jaye usse pahle aap apna Youtube Channel ko Verify zroor kar le. Tabhi Aapka Thumbnail upload karne ke System On hoga.
Jabtak Aap Youtube Channel Verify nahi karenge tab tak aap Thumbnail Upload nahi kar payenge. Agar aapko Youtube verify karna nahi aata hai to ye zroor padhe.
★Youtube Channel Verify kaise kare? Asani se
Aur etna karne ke bad niche Steps ko achhe se follow kare.
Now Follow These Steps:-
1. Sabse pahle apne Mobile ke Chrome browser open kare. Aur fir aap Use Desktop Mode me kar de. Fir www.Youtube.com search kare. aur uske official website me enter kare.
2. Uske bad agar Aapka Dashboard me pahle se Sign in hai to next Step follow kare Anytha apne channel par Sign in kar le.
3. Fir Uske bad apne Profile par Click kare. Aur Your Channel par Click kare.
4. Uske bad aapke Channel ka dashboard open ho jayega. Vaha par aapko Ek Videos ka Option milega uspar click kare.
Eske bad jitna Video aapke channel par hai vo sabhi aapke samne dikhne lagega. Aur fir Vo video par click kare jis video par thumbnail Lagana hai.
5. Fir Click karte hi aapke Video Start ho jayega. Aur Video ke niche right side me 2 option dekhenge .
- Analytics
- Edit Video
To fir Aap Edit Video par click kare.
6. Fir Click karte ho aapko Vo Video ke Edit wale option me Enter kar dega. Vaha par aapko Thumbnail ka Option milega. Uspar click kare.
Uske bad file manager me vo bhej dega. Jo thumbnail hai usko select kare. Fir apne aap uploading hona shuru ho jayega.
7. Upload hone ke bad Aap Right Side upar ke Corner me dekhenge to aapko Save ka option milega uspar click kar de.
To es prakar aap asani se Apne kisi bhi youtube Video par thumbnail ko laga sakte hai. Aur apna Youtube channel popular bana sakte hai.
Youtube Video ke liye Thumbnail kaise Banaye? Attractive Thumbnail
Bahut logo ko Ye Samjh nahi aata hai ki Ve Achhe Thumbnail kaise banaye. Taki log unke Thumbnail ko pasand kare. aur Thumbnail dekh ke Video Me enter kare.
Bahut se log Simple Thumbnail bana lete hai aur usi ko Apne Video par upload kar dete hai. Aur eska Result yah hota hai ki Users aapke Video me aate hi nahi hai.
Ek Youtuber ko Jo Technology Ya fir kisi Other Niche par work kar raha hai Unhe To achhe se thumbnail banana aana hi chahiye.
Best Thumbnail banane ke liye aap Ye kar sakte hai ki apne thumbnail me Photo(png photo) ka istemal jyada kare apne topic se releated, Aap Agar Mobile users hai To aap Jab bhi apne thumbnail me kuch likhe.
To aap Pixlab name ka application istemal kare. Yah app Aapko Word Likhne ke kayo sare Features aapko provide karti hai. Aur agar aap Computer Users hai to aapko PhotoShop jaisa kafi sare achhe-achhe Software mil jayenge Word write ke liye.
Aap Un sabhi software ka achhe se achhe likhne ka koshish kare. Aap jo bhi Likhe Uske Background ko kisi Colour se Dark kar de.
Aur aap Youtube par Thumbnail banane ke tarike ke bare me bhi kuch video dekh le. Taki aapko puri tarah se Achhe thumbnajl banana Aajayenge.
Conclusion
To dosto,Mujhe ummid hai aap bhi ab Youtube Video par thumbnail upload karna sikh gaye honge. aur aap bina kisi Problem ka Asani se koe bhi thumbnail ko apne Video par upload kar lenge.
Aur agar aapko yah article achha laga ho to apne dosto aur ristedaro ke sath Facebook,Whatsapp & Twitter jaise Socialmedia par share zroor kare. Taki aapka ek share se Koe Youtuber Apne Youtube Video par thumbnail lagana karna sikh jayega.